“Uth Jaa Nalayak, Diwali aa Rahi Hai” – Short Story About Mother in Hindi
Short Story About Mother in Hindi
Subah 5 baje ka time tha. Main poori neend me tha ki tabhi mujhe aisa laga ki kisi ne meri peeth par mukka (punch) maara hai. Maine aankhen kholi to dekha koi nahi tha. Main dobara so gaya.
Abhi soya hi tha ki meri zara si aankh khuli aur mujhe laga jaise koi talvaar lekar mer taraf aa raha hai aur bus mujhe talvaar se cheerne wala hai.
Main zor se chillaya aur jab aankhen kholi to dekha meri maa haath me belan liye meri taraf aa rahi hai.
Maine rahat ki saans li aur fir so gaya.
Jaise hi maine apni aankhe band ki, meri maa ne zor sa tamacha mere gaal par maara.
“Uth ja…uth jaaaa nalayak….Diwali aa rahi hai” meri maa chillayi subah 5 baje.
“Happy Diwali Maa… thodi der me uthta hu” maine maa ko bola aur fir so gaya.
Mujhe lagta hai jab Diwali aati hai to sab mothers ko apne bete ko tang karne ka license mil jaata hai.
Unfortunately, mujhe uthna pada aur bus kuch hi pal me meri duty thi ki ghar ke sabhi jaale (spiders), pankhe (fans), TV, sofa, light, fridge, darvaze, bed yani ki poore ghar ki safai karni thi.
Maine socha aaj to meri Maa mera band baja degi. Maine koi bahana banakar ghar se jaane ki sochi lekin meri maa mujhe do kadam aage hai. Maa ne pehle hi mujhe bol diya ki aaj koi bahana nahi chalega. Poora ghar saaf karne ke baad jaha jaana hai chale jaana. Lekin samasya ye thi ki poora ghar saaf karne me hi poora din beet jayega.
Ab majboori me kaam karna to padega hi. Ye sochkar main shuru ho gaya ghar ki safai karne me.
Shaam ko maa ke saath poore ghar ki safai karvayi aur uske baad main itna thak gaya ki fir uthne ki himmat nahi hui.
Dosto, maine to ye sab sirf ek din ke liye kiya tha lekin hamari mothers din raat poore saal ye kaam karti hai aur socho unka haal kya hota hoga.
Ye soch kar mere dil me apni maa ke liye aur bhi zyada izzat aur pyar paida ho gaya. Us din ke baad main kabhi kabhi maa ke kaam me unki help zarur kar deta hu.
Lekin ek baat hai dosto, us din ghar ka kaam karne ke baad mujhe jo pyari neend aayi aisi neend kabhi nahi aayi. Saath hi, mujhe satisfaction thi ki maine aaj apni maa ke kaam me help ki.
Meri aap sabhi se request hai ki is baar Diwali me apni maa ki ghar ki safai me help zarur kare. Sirf aapki maa ko hi nahi, aapko bhi acha lagega.
Happy Diwali to all and stay safe !
Submitted by Sudhir Rana
Submit Your Story
ये भी पढ़े:
कोई मुझसे पूछे गरीबी क्या है – Short Story on Poverty in Hindi
क्या पैसो से ख़ुशी खरीदी जा सकती है? Short Story on Happiness in Hindi
Facebook Par Love Story – Har Ladke ke Liye Zaruri Sabak
पिता और बेटे की इमोशनल कहानी – Father Son Story in Hindi
“इंसानियत सबसे पहले” – Story on Humanity in Hindi
नमस्ते। मुझे नयी कहानियां लिखना और सुनना अच्छा लगता है. मैं भीड़-भाड़ से दूर एक शांत शहर धर्मशाला (H.P) में रहता हूँ जहाँ मुझे हर रोज़ नयी कहानियां देखने को मिलती है. बस उन्ही कहानियों को मैं आपके समक्ष रख देता हूँ. आप भी इस वेबसाइट से जुड़ कर अपनी कहानी पब्लिश कर सकते है. Like us on Facebook.
Hiii
Aap mara lea best funny story short banaao ma us oa video banaauga and aap ko cash bhi duga contact me only whatsApp no. 7876089766